-->

Monday, 27 February 2012

Tumhare Shehar Mein Aise BHI Pyar Mila Hai Mujhe

'Lahoo-Lahaan Charagon K Sar Milay Hain Mujhe, 
Tumhary Shehar Me Aisay B Ghar Milay Hain Mujhe.. 

Mujhe Btao Agar Ghonslay Salamat Thay, 
Hawa Me Urtey Huay Kis K Par Milay Hain Mujhe.. 

Main To Apne Hi Jaisay Shakhs Ki Talash Me Tha, 
Magar Yahan To Sabhi Moat'Br Milay Hain Mujhe.. 

Prinday Lot Kar Na Aayen Jin Ki Shakhon Par, 
Mere Naseeb , K Aisay Shajar Milay Hain Mujhe ...'
'Saans letey huay bhi darta hun 

Ye na samjhen ke aah karta hun 

Bahr-e-hasti mein hun misaal-e-hubaab 
Mit hi jata hun jab ubharta hun 

Itni azadi bhi ghanimat hai 
Saans leta hun, baat karta hun 

Shaikh sahab Khuda se dartey ho? 
Main to angrezon hi se darta hun 

Aap kya poochtey hain mera mizaaj 
Shukr Allah ka hai, marta hun 

Ye barra aib mujh mein hai Akbar 
Dil mein jo aaye, keh guzarta hun .'

Dil drhknay ka sabab yad aya

'Dil drhknay ka sabab yad aya 
Wo tri yad ti ab yad aya 

Aj mushkil ta sanbhlna ay dost 
Tu maseebit me ajab yad aya 

Hal e dil ham b sunatay lakin 
Jb wo rukhsit howa tb yad aya 

Bath kr saya e gul me nasir 
Ham bht roey ,wo jb yad aya ..'

Us k khlos me b zarort ka rang ta,

'Us k khlos me b zarort ka rang ta, 
wo dy rha ta muj ko dua mry samnay! 

Muj se bichrh k khat me likhi us ne dil ki bt 
kun us ko hosla na howa mry samnay.? 

Mry laho se tra labada b tar howa 
ab mra sog tu na mana mry samnay: 

jesay me ashnaaey chman he na ta kbi 
guzri h yhun b aaj saba mry samnay .'

Shehr-E-Khayal-O-Khwab Mein Abad Ho Gaya,

'Shehr-E-Khayal-O-Khwab Mein Abad Ho Gaya,
Itna Usay Parha K Mujhe Yaad Ho Gaya, 

Mein Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareb-O-Hisar Mein, 
Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Baad Ho Gaya, 

Aandhi,Hawa Ka Saath Nibhane K Shauq Mein, 
Koi Tabah Hua' Koi Barbad Ho Gaya, 

Apni Tau Saari Umer Aseeri Mein cut Gayi, 
Jis Ne B Haar Maan Li woh' Azad Ho Gaya, 

Pehle Tau Paniyon Se Rahi Guftagu Meri, 
Phir Youn Hua K Aaina Ejaad Ho Gaya ...'

Saans letey huay bhi darta hun

'Saans letey huay bhi darta hun 
Ye na samjhen ke aah karta hun 

Bahr-e-hasti mein hun misaal-e-hubaab 
Mit hi jata hun jab ubharta hun 

Itni azadi bhi ghanimat hai 
Saans leta hun, baat karta hun 

Shaikh sahab Khuda se dartey ho? 
Main to angrezon hi se darta hun 

Aap kya poochtey hain mera mizaaj 
Shukr Allah ka hai, marta hun 

Ye barra aib mujh mein hai Akbar 
Dil mein jo aaye, keh guzarta hun .'

Kahun K Kia Ho Tum….?

“Kahun K Kia Ho Tum….?”
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,
Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.

Log bus mohabat ko pany ki baat krty hain.

Log bus mohabat ko pany ki
baat krty hain.
Hum tu es ko nehbany ki baat
krty hain.

Log chahte nahi chahat ko
chahat samajh kr.
Hum chahat ko chahat se
chahny ki baat krty hain.

Log chahte hain muhabbat ka
smundar paas krna.
Hum tu bas es mein doob jany
ki baat krty hain

Main wohi hoon jisay tum dost kaha kartay thay

Main wohi hoon jisay
tum dost kaha kartay
thay
ZAKHMI
Din mein so baar mera
naam liya kartay thay,

Aaj kya hay kiyoun mujh
say khaffa bhaithay ho,
Kya kissi aur ko Doost
bana bhaithay ho,

Faslay itnay to pehlay
na houa kartay thay,
Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,

Tum ager bhool gaye
ho to koi baat nahi,
Zakhim to pehlay bhi
ess dil per laga kartay
thay,

Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,
Dost kaha kartay thay.

Saturday, 25 February 2012

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

yak tarfa takazay to nibae nhai jate
kuch apne faraaizki bhi tameel wo karta,

ilzamm lagata wo bare sho se par,
kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
kuch khuwab mere khuab me tabdeel wo karta…..

Tu Bata Khafa Meri Kis Bat Sy Hy

Tu Bhi Na Uljha Kr Muj
Sy Es Terah,

Tu Achi Terah Wakif Mere
Jazbat Sy Hy,

Main kesy Ji Lun Tum Sy
Ruth Kr,

Meri Her Sans Wabasta
Teri Yad Sy Hy,

Meri Talluk Jura Hy Kuch
Es Terah Tum Sy,

Jesy Insan Ka Rishta Khud
Apne Ap Sy Hy.
Jb Zindage Ki Samj Ae
To Zindage Sy Dor Thy
Hum,

Marna Jb Chaha To Jene
Py Majbor Thy Hum,

Saza Jb Bhi Mili Ser Ko
Jhuka Lia,

Qsor Yay Tha K BeQsor
Thy Hum.

Meri zindagi ko ik tamasha bana dia uss ne,

Meri zindagi ko ik tamasha bana dia uss ne,
Bhari mehfil me tanha bitha dia us ne,

Aisi kya nafrat thi usay is masoom dil se,
Khushian chura kar gham thama dia us ne,

Bohat naaz tha uss ki wafa pe kabi ham ko,
Mujh hi ko meri nazron me gira dia us ne,

Khud bewafa tha meri wafa ki qadr kia karta,
Anmol tha main khak me mila dia us ne,

Kisi ko yaad karna to us ki fitrat me nahi,
Hawa ka jhonka samajh kar bhula dia us ne.

Buhot dn ho gay shayad sahara kr lya usny

Buhot dn ho gay shayad sahara kr lya usny
hamare bd b akhir gzara kr lya usny

hamara zikr to usky labon pe aa nahin sakta
hmen ehsas hy hm se kinara kr lya usny

wo basti ghair ki basti,
wo kocha ghair ka kocha

Suna hy ishq b ab to dobara kr lya usny
Suna hy ghair ki bahon ko wo apna samJhta hy

Ye lagta hy mere dukh ko gawara kr lya usny
bhula kr pyar ki qasmen wo waady tor kr
“SAHIL”
kisi ko zindgi se b pyara kr liya usny.

Saturday, 11 February 2012

Kis trha khatam kar  skty hain un say rishta .........


"Mohsin"

Jin ko sirf daikhny say ham dunia ko bhool jaty hain..............
Ghazal
Bat jo dil ke suno gay tu haar jao gye...
Hum jaisa chahny wala phir kahan say lao gay...?

Jaan dainy ke baat to har koi karta hai...
Zindgi banane wala kahan say lao gay...?

Jo ek nazar daikho gay tum hamen...
Tu har tarf sirf hum ko he pao gye...

Yakeen apni mohabbat per itna hai mujy...
Meri chaht ko daikho gye to lot aao gye...

Meri ankhon k samandar main doob jao gye...
Tum kahin jana b chaho gay tu ja na pao gye....
Ghazal
Thaka haara jo sooya tha,
Jagaane kon aaya hai...?

Meri aankhon men neendon...
K bahaane kon aya hai...?

Mera to aashna b door tk koi na tha lekin...
Mere jalte huwy ghar ko kon bachany aya hai...?

Bahaaron men b iss gulshan ka koi khair-khwa na tha...
Khizaa'on men yeh gul booty khilany kon aya hai...?

Yahan to khoon k rishty b ho jaty hain bagaane...
Mohabbat k taqazon ko nibhane kon aya hai...?

Aye dil aik tum he pagal ho jo ab tak aas rakhty ho...
Bhala ujre huwy dil ko basane kon aaya hai...? 
Ghazal
Mai ne haq-e-mohabbat ada kiya...

Na kabhi ksi se gila kiya...

Mujhe ajab iss ka sila mila...

Mujhe dil se uss ne bhula diya...

Mohabaton ki kitab ka...

Har aik wark jala diya...

Wo jo arzoo ka charagh tha...

Usy nafraton nay bhula diya...

Mujhe zakhm phir aik naya diya...

Mujhe iss mohabbat nay kiya diya...?

Wo jo kehty thy tum khush raho...

Wo jo kehty thy meri zindgi ho tum...

Wo jo kehty thy hansa karo tum...

Mujhe usi nay rula diya...


Wednesday, 8 February 2012

Uski narazgi main bhi mohabbat hai...
Tum kia jano...


Uski saza main b aik suroor hai...
Tum kia  jano...


Kehty hain baat nai kary ge humse...


Baat karny ko wo bhi tarapte hai...
Tum kia jano...


Karte hai mohabbat be-panah wo bhi...


Per chupana bhi uski ada hai ...
Tum kia jano...
Mana k Tum "Guftgu" k Fun main Mahir ho


                         "SAQI"


"WAFA" K Lafz Pr Jo kabi Atko to Hamain yad kar lena.....
Parveen Shakir
Log har mor pe ruk ruk k sambhalty kyon hain...

Itna darty hain to ghar sy nikalty kyon hain...?

Main na koi jugnu hon na koi dia na chand...

Phir roshni waly mere naam sy jalty kyon hain...?

Jab nend say mera ta'alluk he nai barson se...

Khawab aa aa k meri palkon pe tehalty kyon hain...?

Iss main mosam ka kasoor hai ya logon ka...

Log mosam ke trha pal bhar men badalty kyon hain.........??????